adhoray hen tumharay bin...hamaray roz_o_shab janaan...bus ab mil jao k ye zindegi takmeel chahti hay.
Friday, 16 September 2011
Ager Hota Mere Bas Mein
meray bas main agar hota
Agar hota meray bas main
To ay sathi meray hamdam
Main bas tum say hi ye kehti
Tumhi main hen meray sapnay
Tumhi ho bas meray apnay
K bus tum khush raho jesay
Main bas har kam wo kar loon
Main bas tum say hi ye keh doon
Mujhay tum say muhabbat hay
Mujhay tum say muhabbat hay
Magar main kia karoon janaa,n
K bas main hay nahi ye sab
K dil hota hay kab bas main
K jaan hoti nahi bas main
Meray bas main to bas ye hay
K rab say mang loon wo sab
Jo teri rooh ko mehka day
Jo teray lab ko muska day
K jo khuahish teray dil main
Wo sab kuch rab tujhay de day
Meray bas main agar hota
Agar hota meray bas main
Subscribe to:
Posts (Atom)
